Samay Ka Pahiya, Rishton Ki Dor – Episode 4

Ab tak aapne padha ki kaise main bhabhi ke itne kareeb aata ja rha tha, main unko mall lekar gaya aur kaise baaten hui aur bhabhi ne usko sambhala..

Ab aage..

Main bhabhi ke sath ghar aa gya aur sara saman rakhne me bhabhi ki help ki, aaj pahli baar main bhabhi ki kaam me hath bata rha tha.

Bhabhi – are tum mat pareshan ho main rakh lungi.

Main – isme pareshan hone ki kya baat hai.

Bhabhi – tumne aaj apna bahut samay kharab kiya hai ab tum jaa kar padhai karo.

Main – thik hai bhabhi.

(main pani pi kar apne room me aa gaya aur book khol kar padhne ki koshish karne laga. Par mera mann padhne me bikul bhi nahi lag raha tha, isliye main aankhe band kar ke neeche sir kar ke chair par baitha raha aur samay ke aagosh me khota chala gaya.

Jaise meri ankho ke samne pura aaj maal ka drishye chal rha ho. Bhabhi kitni shant aur samjhdar hai. Kaise unhone shanti se us mater jo sambhal liya aur muskurate hue usko jawab diya, warna mere karan to aaj baat bahut badh jati.

Pata nahi kyu samay ke sath sath main bhi bhabhi ki or khichta ja rha tha, unka chehra mere jehan me aate hi mere hontho me ek muskaan aa jati thi) tabhi bhabhi ki awaz sunai di..

Bhabhi – rahul neeche aakar khana kha lo.

Main – ji bhabhi abhi aaya.

(aur main turant khana khane neeche pahuch gaya, mera kuchh bhi khane ka mann nahi tha, par bhabhi ko mana nhi kar saka. Main neeche pahuch gaya aur shanti se khana khane laga.)

Tabhi..

Bhabhi – kaha khoye ho bahut shant ho, lag raha hai ab bhi us ke baare me sonch rahe ho?

Main – nahi bhabhi.

Maa ji – kya hua koi baat ho gai kya?

Main – nahi maa. (tabhi bhabhi ne puri ghatna maji ko bata di.)

Maa ji – beta tumne bahut hi sahi kia tha. Aise muskil ki ghadi me aise hi saath dia jata hai.

Main – wo to hai maa par bhabhi ne bahut hi achhi tarah se samhal liya tha warna mere karan tak baat badh rhi thi.

(khane ke baad main apne room me aa gaya aur book khol kar padhne laga. Par kahi na kaho mera dil asant ho chala tha, kyuki aaj 10:30 baj chuke the aur hamesha bhabhi 10 “00 baje aa jati thi.

Lagta hai bhabhi thaki hongi aur neend aa gai hogi, par na jane kyun meri aankhe unka intezar kar rahi thi, mujhe wishwas tha bhabhi jaroor aaengi. Tabhi bhabhi mujhe aati dikhai di.

Abhi shaam tak bhabhi red saadi me thi, par is waqt black sadi me. Bhabhi kitni sundar lag rhi thi. Main bina palak jhapkaye bhabhi ko dekh raha tha. Gore se sarir pe black color ki saadi kitni jach rahi thi. Unke kaale lambe baal, hotho me red lipstick shaam se hi lagi thi.

Main jab jab aaj unke chehre ko dekh rha tha, meri nigahe unke hotho par aakar ruk ja rhi thi. Unki laal bindi jo saam se mathe par lagi thi, aisa lag rha tha jaise poonam ke chand pe kisi ne gulab ka fool saja dia ho.)

Tabhi bhabhi ki awaz kaano me baji – aise kyun dekh rhe ho kuchh gadbad hai kya?

Main – bhabhi aap kitni khoobsoorat hai. Aise lag rha hai jaise ye black color ki saadi aapke liye hi banai gayi ho.

Bhabhi – aisa to kuchh nhi hai, agar hai to aaj tak kisi ne aisa kabhi kaha nhi yaha tak tumhare bhaiya ne bhi kabhi nhi kaha.

Main – sahi me bhabhi aap bahut khoobsoorat hai.

Bhabhi – tum achhe ho to tumko sabhi achhe nazar aate hai.

Main – sahi bhabhi. Achha idhar aaiye.

Bhabhi – kya hua?

Main – idhar to aaiye

(maine bhabhi ka hath pakda aur unko bade se seese ke samne la kar khadi kar dia. Aur unke bagal me khada ho kar bhabhi ko dekhne laga.)

Main – khud hi dekh lijiye aap par ye black color kitna achha lag rha hai.

(bhabhi apne aap ko upar se neeche aise dekh rahi thi, jaise ki aaj tak unhone apne aap ko seese ke samne nahi dekha ho)

Bhabhi – tumhara chehra itna pyara lagta hai aur muskaan aisi hai ki kuchh bhi bolte ho to sab sach lagta hai. Aisa lagta hai ki bas tum kuchh bhi bolte raho.

Main – sahi me bhabhi aapke upar har saadi bahut sundar lagti hai.

Bhabhi – kewal sadi me!!!!

Main – maine aapko hamesha saadi me dekha hai na.

Bhabhi – jab se main yaha aai hu maine aaj tak saadi ke alwa kuchh nahi pahna. Kabhi mauka hi nahi mila.

Main – par bhabhi aapko baki kapde bhi try karne chahiye.

Bhabhi – mere upar aur kuchh bhi sahi nhi lagega.

Main – aisa nahi hai, aapki height aur physic itni achhi hai ki aapke upar har kapda achha lagega. Aapke sharir par ek bhi extraa fat nhi hai. Isliye kitni slim trim hai. Aaj kal ladkia aisi physic ke liye kya kya krti hai.

Bhabhi – main ek chhote gaon se hu mujhe to kuchh aata bhi nhi hai. Mujhe kapdo ka koi sense nhi hai.

Main – aisa kuchh bhi nhi hota hai, agar aap chaho to chaar din me model wala look aa jayega.

Bhabhi – main aur model. (haste hue)

Main – bilkul bhabhi.

Bhabhi mere gale me dono hath rakh kar meri ankho me ankhe daal kar dekhte hue – tumhari baate kitni pyaari hai.

(main bhabhi ki ankho me lagataar dekh raha tha, mujhe aisa lag rha tha ki kisi ne mujhe apne aap me bandh liya ho.)

Bhabhi – maalum hai aaj main bahut khush hu.

Main – koi baat hai kya?

(bhabhi bed me baithte hue)

Bhabhi – malum hai tumhare karan kitne din baad mujhe ghar se bahar nikalne ko mila tha. Main is ghar me rehte rehte bor ho jati thi.
Thank you my best friend.

Main – ab rahne bhi do bhabhi.

(main chair pe baith gaya aur books ki or dekhne laga.)

Bhabhi – tumhe padhna hai kya?

Main – nahi bhabhi mujhe bilkul bhi padhne ka mann nhi kar raha hai. Maa ji ab tak so gai hongi kya?

Bhabhi – haan wo to so gai hongi, kyun kya hua?

Main – kuchh nhi bas aise hi.

(bhabhi mera hath pakad kar mujhe uthate hue.)

Bhabhi – chalo chhat par chalte hai.

Main – thik hai.

(fir hum dono chhat par aa gaye aur neeche ki or dekhne lage. Tabhi hum logo ne baarat ko jaate hue dekha usme kafi log dance kar rahe the.)

Bhabhi – kitni achhi barat ja rahi hai.

Main – hmmm.

Bhabhi – mujhe kisi saadi me gaye kitne din ho gae hai, kahi jaane ko hi nhi milta.

Main – hmmm, aapko hamesha maji ka khayal jo rakhna padta hai.

Bhabhi – wo to hai, aaj dinner jyada nhi kiya isliye bhook lag rahi hai.

Main – haan, mujhe bhi lag rahi hai, ham logo ne bahar thoda bahut kha liya tha us karan achhe se khana nhi kha paye.

Bhabhi – chalo kuchh bana deti hu.

Main – rehne dijiye bhabhi.

Bhabhi – isi bahane main bhi kha lungi.

Main – bilkul nahi bhabhi.

(achanak se mere dimag me ek khayal aaya)

Main – chaliye is barat me chalte hai.

Bhabhi – pagal ho kya !!!! Koi kya sochega.

Main – koi kuchh bhi nahi sochega jab koi samajh payega tab na.

Bhabhi – bilkul nahi.

(main bhabhi ka hath pakad kar khichte hue)

Main – chaliye na bhabhi, maja aayega.

Bhabhi – maa ji kya sonchengi?

Main – maa so rahi hai.

Bhabhi – mere pass kapde bhi nhi hai.

(achanak se mujhe yaad aaya ki maine wo lanhga khareeda hai.)

Main – sab ho jayega.

Bhabhi – kya ho jayega?

(main bhabhi ko khichte hue)

Main – pahle aap niche chaliye, main aapko batata hu.

(fir bhabhi apne room me gai, main daud kar neeche gaya aur diggi se lanhga vagairah nikala aur bhabhi ke room me aaya)

Main – ye lijiye.

Bhabhi mujhko prashnwachak tareeke se dekhte hue – ye kya??? (bhabhi packet lete hue)

Main – dekhiye to.

Bhabhi ne jab packet khol kar dekha to bilkul shock ho gayi meri taraf bilkul wk tak dekhte hue – ye kaise???

Main – apke liye liya tha.

Bhabhi – kab?

Main – wo sab baat baad me, jaldi se taiyar ho jaiye nahi to sab gadbad ho jayegi.

Bhabhi – thik hai, par yu saadi me chalna sahi hoga.

Main – chaliye maja aayega, jyada mat sochiye.

Bhabhi – thik hai tum bhi taiyar ho jaao.

Main – hmmm, jyada samay nhi lagaiyega.

(main jaldi se taiyar hone upar chala gaya)

Sorry but agle part ke liye thoda samay lag sakta hai, khed hai…