Samay Ka Pahiya, Rishton Ki Dor – Episode 2

Aapne ab tak padha ki kaise mai ek anjaan ghar me aa gaya aur ek sadasy ban gaya, mujhe ek maa ek bhai aur ek bhabhi mil gai thi bhaiya ke jaane ke baad mai maaji aur bhabhi ka khayal rakhne laga tha. Ab aage…

Main ab apni padhayi aur dainik kaamo me laga hua tha, main hamesha apne me hi khoya rehta tha, subah nasta – coaching – lunch – pdhai – dinner – padhai bas yahi jindagi chal rahi thi.

Aaj dhire dhire us ghatna ko kuch ek mahina hone wala tha aur bhaisahab ko gye 15 din ho rahe the. Ab main wo sab ghatna bhul gaya tha.

Raat ko kareeb 11pm ka samay raha hoga, main apne room me baith kar padhai kar raha tha. Padhte padhte thoda thakavat si mehsoos ho rahi thi, maine socha kyun na thoda sa tahal liya jaye fir padha jayega.

Main terrace par aa gaya tha, dekha to waha par bhabhi khadi thi dusri taraf muh kar ke, main bhabhi ke pass ja kar khada ho gaya.

Bhabhi thoda dar gayi, jab mujhko dekha tab relax ho gai.

Main – bhabhi itni raat me?

Bhabhi – bas aise hi hawa lene aa gayi thi main to hamesha yaha aati hu.

Maine bhabhi ki or dekha chehre me thoda udasi si thi.

Main – hmmm.

Bhabhi – tum yaha kya kar rahe ho?

Main – padh rha tha neend aa rahi thi isliye tahalne chala aaya.

Bhabhi – chaayi piyoge!! Neend chali jayegi?

Main – rehne dijiye.

Bhabhi – arre isi bahane main bhi pi lungi.

Main – thik hai.

Bhabhi neeche chali gayi chai banane.

Main soch me doob gaya.

Bhabhi kitni achhi hai, kitna masoom sa chehra hai par udaas hai. Mera kitna khayal rakhti hai. Aur ek main hu kabhi khayal hi nhi rakhta bas padhai. Kitna swarthi ho gaya hu. Kisi par dhyan hi nhi deta, bhaiya ko gye 15 din hogae maine kabhi call bhi nahi ki wo kaise hai???

Ab mujhe apne aap par gussa aa raha tha, tab maine socha ki main ab apna ghar ka chhota beta hone ka farj ada karunga. Sabhi ka khayal rakhunga aur kisi ko udas nahi hone dunga.

Ye sochte hue mere ankho me aansu aa gye. Tabhi bhabhi aa gai.

Bhabhi – kya hua tumhri aakho me aansu?

Main – kuchh nahi.

Bhabhi – koi to baat hai batao.

Main – aap mera kitna khayal rakhti hai, aur ek main hu jo kabhi aapka khayal nahi rakhta.

Bhabhi – pagal ho tum, ham sabhi logo se itna pyaar karte ho ye kam hai kya, lo chai piyo nhi to thandi ho jayegi aur meri mehnat bekar ho jayegi.

Main – sorry bhabhi.

Bhabhi – chhodo, ye batao tumhari padhai kaisi chal rahi hai?

Main – badhiya.

Ek sip lene ke baad.

Main – bhaiya ka phone aaya tha kya?

Bhabhi – baat mat karo unki, jis din wo pahuche the us din aaya tha, bas ye jaha ki main sahi salamat pahuch gaya hu. Aur aaj tak phone nahi aaya. Ye to unki purani aadat hai. Waha ja kar kaam ke aage sab kuchh bhool jate hai. Ab to mujhe bhi koi chinta nhi rehti.

Main – maine aaj tak unse baat nhi ki.

Ek sip lene ke baad bhabhi boli – koi baat nhi, ho sakta hai wo phone receive bhi na kare. Work load kafi hota hai.

Main – aap bor nhi ho jati hai. Kahi jati bhi nhi!! Pura din ghar me??

Bhabhi – nahi to!!! Ab to aadat ho gayi hai itna sara kaam rehta hai.

Main – aap bahut hoshiyar hai. Sab kuchh bahut achhe se sambhalti hai.

Bhabhi – bachpan se yahi to seekha hai. Chalo ab neeche chale.

Main – hmmm, good night.

Bhabhi – good night.

Mai ab neeche aa gaya. Let te hi so gaya.

Subah fir wahi din chadh gya..

Raat ko..

Mere room ka gate khula hua tha, main padh raha tha. Tabhi bhabhi aa gai.

Bhabhi – ye lo chai pi lo.

Main – thank you bhabhi. Mujhe neend aa rahi thi.

Bhabhi – tum padho main ja rahi hu.

Main – bhabhi bethiye na. Main bhi akele bor ho jata hu.

Bhabhi – nahi tum padho.

Main – plz bhabhi.

Bhabhi – ok. Kya padha rhe ho?

Main – history, bahut hi ghatiya subject hai.

Bhabhi – wo kaise?

Main – kewal date, name, ladai bakwaas hai.

Bhabhi – hmmm, isiliye bor ho rahe the.

Main – hmm.

Bhabhi – history ko kahani ki tarah padho to achha bhi lage.

Main – wo kaise ho sakta hai?

Bhabhi – kaun si book padh rahe ho?

Main – madhyakalin bharat.

Bhabhi – main thodi help karu?

Maine socha kya batayegi aisa kabhi ho sakta hai kya?

Main – haa bataiye.

Fir bhabhi ne ek topic padhaya jab babar aaya tha.

Unhone aisi roop rekha taiyar ki mujhe lag raha tha jaise koi movie chal rahi ho.

Topic khatam hone ke baad main bahut khush ho gaya. Main bhabhi ko aise dekh raha tha ki jaise statue.

Main – aap to puri magical ho, kya padhaya hai. Ab tak aap kaha thi? Main kitna pareshan rehta tha.

Bhabhi – maine M.A ki hai mera favorite subject history tha.

Main – wow.

Maine aaj tak kabhi koi aisa history ka teacher nhi dekha.

Main – plz mujhe history padha dijiye plzzzzz.

Fir main ghutno me baith kar bhabhi ka hath pakad kar vinti karne laga.

Bhabhi muskurate hue – thik hai isi samay padha dungi free hoti hu.

Main – jab aapke paas samay ho tab padha dijiye.

Bhabhi – thik hai. Ab main ja rahi hu.

Main – good night bhabhi.

Bhabhi – good night.

Unke jaane ke baad main bilkul shocked reh gaya tha.

Bhabhi bilkul genius thi. Aur aise hi har raat bhabhi mujhko padha deti thi. Aur halki fulki ghar ki baate bhi ho jati thi.

Main dhire dhire bhabhi ke nature aur hoshiyari ka fan ho gaya tha.

Ek din early morning me bhabhi ghabrate hue mere pass aai rote hue batane lagi ki maji ki tabiyat kharab hai, maji ko ghabrahat hone lagi aur paseene paseene hone lagi, main daud kar neeche pahucha aur ham log maji ko lekar hospital aa gye.

Dr. – glucose level jyada hone ke karan aisa hua hai, ghabrane ki koi baat nahi hai. Sab sahi ho jayega aaj yahi admit rahne do kal le jana.

Main – thik hai dr sahab.

Fir maine bhabhi aap so jaiye kaha.

Main waise hi puri raat jagta raha.

Subah main bhabhi ke uthne ke baad.

Main – bhabhi chaliye main aapko ghar chhod kar aata hu.

Bhabhi – rehne do.

Main – aap uthiye main chhod kar aata hu.

Bhabhi – thik hai.

Aur mai pure din raat maji ki dekh rekh me laga rha. Fir ham log ghar lot aaye.

Agle din lunch par.

Bhabhi – thank you

Maaji – (thoda aankhe nam karte hue) beta agar tum na hote to hamara kya hota?

Main – aap log kaisi baate kar rahi hai. Kya aap log mujhko paraya samjhti hai.

Fir ham log aram se khana khaye.

Ab maji aur bhabhi meri jimmedari dekh kar bahut khush thi. Unko lag raha tha ki wo log ab akeli nhi hai koi unka dekh bhal karne ke liye hai.

Ab mera fir se wahi routine ho gaya tha.

Bhabhi firse mujhe padhane lagi thi, ab to ham dono ki adat ho gai thi mujhko aur bhabhi ko khana khatam hone ka intezaar rahta tha.
Bhabhi ko mai pakad kar room le aata tha ki chaliye padhaiye, bhabhi bhi mann se padhati thi, fir ek dedh ghante padhane ke baad hum log ghumte aur baate karte the, bhabhi apne pariwar ke baare me batati thi.

Kuchh idhar udhar ki baate hone ke baad hum log sone chale jaate the, kabhi kabhi to hamari baate itni gahari ho jati thi ki raat ke 2-3 baj jaate the.

Ek din coaching ke liye jaise hi main ghar se nikala, gali se mudate hi ek kayamat si dikhne wali ladki ne mujhse lift mangi.

Main – ji bataiye.

Wo ladki – plz mujhe dhey acadmi tak chhod sakte hai kya? Meri scooty kharab ho gai hai.

Main – ji bilkul, mai bhi wahi ja raha hu.

Wo ladki – thanks.

Main – thanks pahuchne ke baad dijiyega.

Main shanti se scooty chalata rha.

Kuch 20 min ki travel ke baad ham log coaching ke gate par.

Wo ladki – thanks.

Main – it’s ok.

Wo mujhse hath milane ke liye hath aage badhati hai.

Ladki – sandhya, and nice to meet you.

Main – rahul baidave main bhi isi coaching me padhta hu.

Sandhya – kis class me?

Main – morning batch me.

Sandhya – main bhi.

Main – lot te wakt bhi chalna chaho to chal sakti ho.

Sandhya – ok.