Hello doston, mera naam Viraaj hai. Meri age 23 hai, aur is site par ye meri pehli story hai. Hope aapko pasand aayegi. Apne baare mein batau to main Delhi se hu, aur main aur mera dono 5.8 hai. Main regular gym karta hu jiski wajah se meri body bilkul fit hai.
Apni pehchan ko gupt rakhte hue seedha kahani par aata hu. Ye kahani tab ki hai, jab main Noida mein job karta tha. Actually wo meri pehli job thi, aur meri age us time (19) thi. Mere dost ne mujhe job ka reference diya tha, to maine interview clear kiya aur HR ne mujhe next day job pe aane ke liye bole diya.
Next day maine apni bike li, aur main apni new job ke liye nikal gaya. Kyunki mera first day tha, to main apni new job ke liye bahut excited tha.
First day mujhe employee id card mila, aur mujhe work se related saari jaankari di gayi, aur computer par bitha diya. Mera work Data Validation ka tha.
Mujhe excel mein data provide hota tha. Usme correction aur baaki sab kaam hota tha. Meri desk ke right mein mujhe waha ek ladki dikhi jo meri taraf hi baar-baar dekh rahi thi. Par pata nahi kyun paas aa kar kuch bol nahi rahi thi. Mujhe laga koi Employee hogi, aur shayad kyunki meri new joining thi, to isliye dekh rahi hogi. To maine nazar andaaz kar diya.
Kuch der baad HR waha aati hai, jiska naam Shobha (Name changed) tha. Usne mujhse poocha.
Shobha: Viraaj tumhe kaam sab samjha diya na kya karna hai, kaise karna hai?
Me: Ji mam, mujhe training mil gayi hai, aur kaam bhi samajh aa gaya hai.
Shobha: Good, koi problem ho to tum Simran se pooch lena.
Me: Simran, kon?
Shobha: Kyun, tum mile nahi Simran se?
Aur fir usne Simran ko awaaz di.
Shobha: Simran idhar aana.
Simran aayi aur Shobha (HR) ne mujhe samjhaya: Ye tumhari senior hai aur tumhe Simran ke under work karna hai, jo ye bole wahi karna hai. Simran tumhe baaki ka kaam samjha degi.
Aur fir wo waha se jaane lagi.
Jaate-jaate usne mere kaan mein kaha: Agar koi problem ho to main mere cabin mein milungi.
Tabhi waha khadi Simran meri taraf dekh rahi thi, aur meri us par nazar gayi. Wo wahi thi, jo mujhe door se khadi baar-baar dekh rahi thi. Maine ab uski taraf dhyan se dekha to dekhta hi reh gaya. Uski aankhon mein dekhne se aisa laga ki jaise khaa jana chaahti hai mujhe. Uska figure bahut kaatilana tha, 32-28-32 ke lagbhag hoga, jaisa mujhe pehli nazar mein laga.
Usne tight jean aur upar suit pehan rakha tha. Maine Simran se kaha-
Me: Mam bataiye mujhe kya karna hai?
Simran: Abhi kya kar rahe ho?
Me: Abhi to jo (HR) mam ne samjhaya tha bas use hi check kar raha hu.
Simran: Ok, main tumko mail kar rahi hu, aur tum mujhe correction karke send kar dena. Kab tak kar doge?
Me: Mam kitni sheets hai?
Simran: Filhaal to 3 sheets pending hai?
Me: Ok main Lunch tak complete kar doonga.
Simran: Itna jaldi kaise karoge, baaki log to poora din laga dete hai? Tumhare hatho mein kya motor fit hai?
Me: Aisa hi samajh lo aap.
Simran ne ek smile di, aur fir jaane lagi.
Jaate jaate usne kaha: Mujhe Simran bolo, mam nahi.
Maine ok bola, aur wo waha se chali gayi. Jab mere paas unki mail aayi to maine data check kiya. Bahut zyada bada kaam nahi tha, to maine serious ho kar kaam shuru kiya, aur lunch tak complete bhi kar diya. Waise meri typing speed achi thi, to maine lunch mein kaam khatam karke mam (Simran) ko mail kar di. Fir main lunch karne ke liye neeche gaya.
Actually mera first day tha to main ghar se lunch lekar nahi gaya. Mujhe thoda sa ajeeb laga to maine socha pehle waha comfortable ho jau, tab le jaunga. Kya pata waha log kaha aur kaise khaate honge. Mujhe anjaan logon ke saamne lunch karna thoda comfortable nahi lagta isliye.
Main office se baahar nikla, to aas-paas dekhne laga ki kuch khaane-peene ki cheez mil jaye veg-biryani, veg-thaali jaisa kuch. Par us jagah aas-paas kuch aisa nahi tha, bas companies hi thi road ke dono side. Mujhe laga aaj bhookha hi rehna padega lagta hai.
Fir main apni desk par wapas aa gaya, to maine dekha ki meri desk par Simran baithi thi. Usne mujhe aata hua dekha to side wali chair pe baithne ka ishara kiya. Main side wali chair par baith gaya aur apni bottle se paani peene laga. Mujhe kaafi pyaas lagi thi to poori bottle pee gaya. Simran apna lunch box khol rahi thi, aur mujhe mere bag ki taraf ishara kiya.
Me: Kya?
Simran: Apna lunch box nikalo.
Me: Wo main aaj ghar se lunch nahi laaya.
Simran: Kyun, tumhe bhookh nahi lagti? Tabhi itne kamzor dikhte ho.
Me: Kya sach mein itna kamzor dikhta hu?
Aur mera muh utar gaya.
Simran: Mazaak mein bola maine. Tum to bodybuilder ho poore.
Aur fir meri taraf dekhne lagi, aur poocha-
Simran: Lunch kyun nahi laaye?
Me: Aaj jaldi-jaldi ke chakkar mein lunch box rakhna hi bhool gaya.
Simran: Koi nahi, tum mere sath mere lunch se khaa lo.
Me: Are you sure?
Simran: Haa-haa kyun nahi. Waise bhi main akele hi lunch karti hu. Team ke saare log neeche cafeteria mein jaa kar lunch karte hai. Waha bahut bheed ho jati hai, main isliye yahi akele lunch kar leti hu.
Aur ye keh kar usne apna lunch meri taraf pass kiya. Fir hum dono ne ek sath lunch karne lage. Usne mere baare mein poocha ki main kaha rehta hu aur baaki sab. Abhi tak hamari conversation bahut normal chal rahi thi. Main uske lunch box se roti le raha tha, aur mera hath uske hath se touch hue to usne meri taraf bahut alag nazar se dekha. Maine use sorry bola, to usne bola koi baat nahi, lo khao.
Lunch khaane ke baad kuch time bacha tha lunch period khatam hone mein. To main bhi uske baare mein poochne laga. Uske bataya ki wo wahi paas mein rehti thi. Uska ghar (Home town) Uttarakhand tha, aur wo yaha ek room rent pe lekar reh rahi thi, aur is company mein 2 saal se thi.
Jab itni baat hui maine poocha: Simran aap married ho?
Usne poocha: Kya lagta hai mujhe dekh kar?
Maine kaha: Aap single ho matlab?
Usne hmm kaha. Lunch over ho gaya aur hum dobara kaam karne lage, kyunki mera first day tha to main kuch zyada hi kaam mein dhyan de raha tha. Mujhe pata hi nahi meri line mein jo employee baithe the, wo jaa chuke the, aur saamne se Simran ne aa kar bola-
Simran: Tumne bataya nahi aaj yahi sone waale ho.
Maine kaha: Arre nahi, mujhe pata hi nahi chala saare log kab chale gaye.
Usne kaha: Kyun aisa kya dekh rahe the, jo tumhe hosh hi nahi? Maine mazaak mein bol diya: Aapko dekh raha tha.
Wo hasne lagi, aur fir boli: Chalo ab varna office band ho jayega, aur yahi reh jaoge.
Fir hum dono sath mein neeche aaye. Main parking side chala gaya, jaha meri bike khadi thi, aur wo main gate ki taraf chali gayi. Main bike lekar main gate se baahar nikla to maine dekha Simran road ke doosri taraf akeli khadi thi. Shayad auto ki wait kar rahi hogi. Main waha se chala gaya.
Thoda door jaa kar mujhe yaad aaya ki mujhe to apni company ka naam hi yaad nahi tha. Kal bhool gaya to? Ye soch kar, fir wapas aa kar main gate pe company ke naam aur address ki ek photo apne phone mein li. Meri nazar road ki doosri side gayi to Simran abhi bhi wahi khadi thi, aur road ab bilkul sunsaan ho chuki thi.
Main bike ghuma kar road ke doosri side gaya, aur uske paas jaa kar bike roki. Wo mujhe dekh kar chaunk gayi. Shayad ghabra gayi. Maine helmat utara, usne mujhe dekha, aur sar par dheere se ek maara, aur boli-
Simran: Darra kyun rahe ho mujhe?
Maine poocha: Aap gayi nahi, kisi ka wait kar rahi ho?
Usne kaha: Haa yaar auto wala koi aa hi nahi raha.
Maine bataya: Main road se police walo ne idhar ka raasta auto walo ke liye band kiya hua hai. Shayad koi baat ho gayi hogi.
Wo pareshan ho gayi aur doosri side chali gayi. Maine mirror mein dekha wo seedha chalti jaa rahi thi. Fir maine use awaaz maari-
Me: Simran.
Wo ruki.
Main bike uske paas le kar gaya aur bola: Aao baitho.
Usne mana kiya: Nahi tum kyun pareshan ho rahe ho? Main chali jaungi. 15 minute ka hi raasta hai.
Maine kaha: Koi baat nahi tum baitho.
Mere force karne pe wo baith gayi.
Maine bola: Mujhe raasta batati rehna.
Usne ok bola aur hum chal diye bike se. Uske ghar jaane mein 10 minute lage, aur maine use drop kiya, aur wo jaane lagi. Jaate-jaate usne thanks bola.
Maine bola: Kal lunch thoda zyada leke aana.
Usne smile di aur chali gayi. Uske jaane ke baad maine uska ghar dhyan se dekha. 3 floor ka bahut bada ghar tha. Wo 2nd floor pe rehti thi. Fir main waha se chala gaya. Fir main apne ghar pahuncha, aur raat ko dinner karne ke baad sone ke liye apne room mein chala gaya. Maine apna phone charging se nikala, to ek unknown number se text message aaya hua tha.
Usme likha tha: Kal lunch mein kya khaoge?
Main samjh gaya ki game start ho gayi thi. Waise main bahut hi shareef hu, par mauke par chauka lagan jaanta hu.
Maine likha: Jo aap laogi wahi khaunga.
Usne likha: Hmm, par kya?
Maine likhe: Itna to wife nahi poochti jitna aap pooch rahe ho? Usne smile wali emoji bheji.
Maine likha: Mujhe raajma chawal bahut pasand hai.
Usne fir smile wali emoji bheji, aur itni baat karke main so gaya.
Thanks doston jitne logon ne last tak meri story padhi. Doston hope aapko meri story padh kar kuch maza aaya hoga. Next part main likh raha hu, jaldi upload karunga.