Ab tak aapne padha ki Shaadi waley din Rashi aur Urvi ko saja sawra dekhkar Kabir aur Rohan ke dil machalane lage. Dusri taraf Ujjawal apne khoye pyaar Zara ko itne samay baad dekh kar awaak rah gaya.
Ab aage…
Peechhe se koi bada saaman la raha tha isliye Zubin ne apni biwi Zara ka kandha pakad kar apne paas kar dusro ko jagah di. Iske baad Zara ne apne kandhe se Zubin ka haath hataya aur phir se thoda dur khadi ho gayi.
Background mein music baj raha tha aur Ujjawal ab Zara ki taraf aage badha. Zara ki najar abhi tak Ujjawal par nahi padi thi aur wo daaye baaye tension mein dekh rahi thi.
Jab Ujjawal thoda karib aaya to Zara ki najre ghumte huye Ujjawal par thhahar gayi aur uska dil baithh sa gaya. Usko ummeed thi ki Ujjawal shaadi mein aaya hoga par wo usko receive karne aayega yeh nahi pata tha.
Zara ke gulaabi honthh thode khul se gaye the aur najre Ujjawal par tik gayi. Uski palko ne jhapkana band kar diya. Zara ne Ujjawal ko Rashi-Rohan ki shaadi mein chhup chhup kar dekha tha aur saamne aane se bachti rahi thi.
Hawa se Zara ke khule baal ud kar aakho aur gaal par aa gaye. Ujjawal kabhi inhi udti julfo aur baalo ko Zara ke chehre se hata kar uske khilte chehra ko dekhta tha. Thodi dur se hi anaayas hi Ujjawal ka haath upar uthh gaya taaki Zara ke chehre par aaye baalo ko hata paaye.
Aaj Ujjawal ke paas wo adhikaar nahi tha aur Zara ne khud hi apne lahraate baal chehre se hataaye. Ujjawal ne apna uthhata hua haath neeche kar diya. Ujjawal halki smile ke saath Zara ki najro se najre milaate huye ekdum paas pahuch gaya.
Ujjawal ke muh se “Zzzzara” shabd kharkhraati huyi aawaj mein badi mushkil se nikla. Ujjawal ne apna gala saaf kiya.
Zubin: “Hi, main Zubin. Tum Ujjawal ho na, tumse baat huyi thi”
Zubin ne muskuraate huye puchha aur haath milaane ko aage badhaya. Ujjawal ne bhi haami bharte huye haath milaya. Ujjawal ne Zara ki taraf dekha jo dusri taraf dekh rahi thi.
Ujjawal: “Chalo Zubin, main Kabir ke paas le chalta hoon”
Wo teeno side by side ek saath chalte huye aage badhe. Zara aur Ujjawal ke beech Zubin chal raha tha. Ujjawal ne 2-3 baar dusri taraf chalti Zara ko dekha.
Zara ka dhyaan sirf aage ki taraf tha jo baar baar apne khule baalo ko sambhaal kar peechhe kar rahi thi. Ujjawal man hi man khush ho raha tha.
Thodi der mein wo teeno Kabir ke kamre se thodi hi dur the. Ujjawal ruk gaya aur haath ke ishaare se kamre ka darwaja dikhaya. Zubin aur Zara Kabir ke kamre ki taraf badhe.
Ujjawal wahi ruk gaya aur Zara ko jaate huye dekhne laga. Tabhi Zara ne peechhe mudkar apne tikhe naino se Ujjawal ko dekha.
Zara ke naino se jaise teer nikal kar Ujjawal ke seene mein ghus gaye. 2 second mein hi Zara phir aage dekhkar chalne lagi. Zubin aur Zara dono ab darwaaje ke baahar the aur darwaja knock kiya.
Ujjawal bhi chalta hua waha pahuch gaya. Rohan ne darwaja khola aur Zara aur Zubin dono ko dekhkar unhe khushi se gale lagaya.
Zubin ne Kabir ko badhai de gale lagaya. Rashi ne Zara ko gale lagaya. Zara ne smile karte huye Kabir ko badhai di aur gale lage.
Rashi ne phir Zubin aur Zara ko Urvi se pahli baar milvaya. Urvi ka naam sunte hi Zara ka dil bhi dhakk se rah gaya. Urvi ne Zara ki jagah Ujjawal ke dil mein jo le li thi.
Zara magar sambhal kar Urvi se mili. Rashi ne peechhe khade Ujjawal ko aankh se ishara kar smile karte jaise sawaal puchha ki uski mulaaqat kaisi rahi.
Ujjawal ne gardan hila kar nirasha mein jawaab diya. Rashi ne aankho ke ishare se usko thoda sabra rakhne ko kaha. Wo sab log wahi lagi kursiyo par baithh gaye.
Kabir: “Problem to nahi huyi na raasta dhundhne mein”
Zubin: “Nahi, kal raat aapme se kisi ne phone uthaya nahi magar Ujjawal ne help kar di thi to pareshani nahi huyi”
Kabir: “Sorry, yaha bahut shor tha music ka. Ujjawal ne bataya tha baad mein humko tumse baat huyi thi”
Zubin: “Thanks to Ujjawal. Magar Zara, tumney kabhi Ujjawal ke baare mein bataya nahi!”
Zara kuchh bolna chaahti thi par koi shabd hi nahi sujhe ki kya bole. Rashi ne phir se baat sambhaal li.
Rashi: “Koi baat nahi, ab mil lo. Hum paancho logo ki toli thi. Main, Rohan, Kabir, Ujjawal aur Zara. College time par achchhe bure waqt mein hamesha ek saath rahte the”
Urvi: “Mujhe bhi Zara ke baare mein nahi pata tha. Mere saamane kisi ne baat hi nahi ki”
Rohan: “Zara ki shaadi sabse pahle ho gayi thi, phir sab idhar udhar bikhar gaye. Haalanki hum baaki log milte rahte hain”
Zubin: “Sorry dosto, meri vajah se aap logo ki dosti mein thodi duriya aa gayi. Mujhe koi problem nahi hain aap sab log milo jhulo. Main bhi join kar lunga agar koi problem nahi hain to”
Kabir: “Yeh to achchhi baat hain. Bahut jaldi hum kuchh plan karte hain.”
Tabhi Kabir kii mummy aa gayi, baahar pundit ji aa gaye the hawan ke liye aur Kabir ko jana tha. Kabir jaane laga aur saath mein dosto ko bhi aane ko kaha.
Rashi: “Zara, tum yahi ruko, tumse kaam hain”
Rashi aur Kabir ke beech aankho hi aankho mein ishara hua aur dono samajh gaye. Zara aur Rashi wahi baithhe rahe aur baaki log baahar gaye.
Thoda baahar aage jaane ke baad Kabir ruka.
Kabir: “Ujjawal, mere kamre mein bed par saamaan rah gaya hain, jara le aana”
Ujjawal: “Kaun sa saaman?”
Kabir: “Tu ja to sahi, dikh jaayega”
Rohan bhi samajh gaya tha aur Ujjawal ko aankho ke ishaare se jaane ko bol diya. Ujjawal ulte kadam Kabir ke kamre ki taraf badha.
Kabir, Rohan, Urvi aur Zubin baahar pahuche jaha baarat rawaana hone se pahle pooja aur hawan hone wala tha.
Ujjawal ka dil teji se dhadak raha tha aur wo ek baar phir Kabir ke kamre ke darwaaje tak pahucha aur andar Rashi aur Zara ko baithhe huye baat karte dekha.
Rashi to Ujjawal ka hi wait kar rahi thi. Rashi uthh gayi aur Ujjawal ko waha dekhkar Zara bhi apni jagah se uthh khadi huyi taaki Rashi ke saath jaa paaye.
Magar Rashi ne Zara ko wahi baithha diya aur darwaaje ke paas gayi jaha Ujjawal khada tha.
Ujjawal: “Kabir ka koi saamaan bistar par rah gaya hain wo lene aaya hoon”
Rashi: “Kabir ka koi saaman nahi rah gaya. Bas tumhara ek khoya hua saaman andar hain, baat kar lena aaram se. Main baahar hi khadi hoon”
Ujjawal kamre ke andar aaya aur Rashi ne baahar jaakar darwaja band kar diya. Ujjawal chalta hua Zara ke paas aaya. Zara kursi se uthh khadi huyi, najre jhukaaye waha se jaane lagi.
Ujjawal: “Naaraj ho Zara?”
Zara ruk gayi aur usne apna sir upar uthhate huye Ujjawal ki aankho mein jhaanka. Uska chehra gambhir tha. Ujjawal ne smile karte huye usko dekha.
Zara: “Tumhe kya farq padta hain!”
Ujjawal: “Padta hain, tum maano ya na maano”
Zara: “Maine kaha tha tumko ki bhaag chalte hain, magar tum kaha maane! Meri shaadi ka card dene aay ith itab bhi besharmi se le liya”
Zara ki aawaj mein ek rulaayi thi aur usne apne aap ko sambhaal kar control kiya.
Ujjawal: “Kis se bhaagte, tumhaare aur mere ghar walo se, saari duniya se?”
Zara: “Tum mujhe chaahte the ya duniya ko?”
Ujjawal: “Tumhe pata hain, tum hi meri duniya ho”
Zara: “Tum sirf baatein banaana jaante ho. Tumhe pata bhi hain pichhle do saalo mein mere upar kya gujri hain … ”
Zara ki aankhe bhar kar chhalchhala aayi aur phir sir jhukaate huye wo aankhein ponchhti subakane lagi. Ujjawal ka bhi dil paseej gaya par wo kya karta.
Ujjawal: “Zara, tumhe pata hain ki main tumhe rote huye nahi dekh sakta hoon. Pata hain na jab tum pahli baar mere saamne royi thi!”
Ujjawal muskura diya aur Zara ne apne aansu ponchhte huye Ujjawal ki taraf dekha aur rote huye bhi smile nikal gayi.
Zara: “Yaad hain mujhe. Tum 5 ghante tak college ke us ground mein akele mere paas baithhe mujhe manaate rahe”
Ujjawal: “Haa, aur tum itni der tak itni si baat ke liye roti rahi ki tum college ke beauty contest mein Rashi ke baad second number par aayi thi”
Zara: “Hmmm.. Aur agle din tum Rashi se jaakar wo trophy le aaye mujhe dene ke liye”
Zara ki muskaan waapis laut aayi haalanki uski aankhein abhi nam thi.
Ujjawal: “Bahut sundar lag rahi ho tum, hamesha ki tarah”
Zara: “Jhoothhe kahi ke. Urvi mujhse bhi jyada sundar hain”
Ujjawal: “Maine tumhe tab bhi kaha tha, mere liye tum hi sabse sundar ho. Meri beauty queen tum hi rahogi”
Zara: “Pakka!”
Ujjawal: “Haa”
Zara ki muskaan poori laut aayi thi aur aankhon ki chamak barkaraar thi.
Ujjawal: “Itne time baat kyu nahi ki, gussa thi?”
Zara: “2 saal se tum par itna gussa aa raha hain ki kya batau”
Ujjawal: “Tumhaare saamne khada hoon, nikaal lo apan gussa mujh par”
Zara: “Tum saamne aate ho to gussa gaayab ho jata hain. Waise bhi sara gussa ghar ke saaman par nikaal deti hoon. Pata nahi kitney hi saaman tod diye maine ghar par”
Ujjawal: “Yeh to tumhaari puraani aadat hain. Ek baar gusse mien mera shirt faad diya tha. Fate huye shirt ke saath baniyaan pahne ghar jana pada tha mujhe”
Zara khilkhila kar hans padi aur uska saath dekar Ujjawal bhi hans pada.
Zara: “Sorry, main tumhaari shaadi mein nahi aa paayi”
Ujjawal: “Main bhi to tumhaare shaadi mein nahi aaya tha, mera bhi sorry”
Zara: “Achchha hua tum nahi aaye, varna main wahi par tumhara khoon kar deti”
Ujjawal: “Kar deti to achchha hota, mujhe mukti mil jaati tumhaaare haatho”
Zara Ujjawal ki aankho mien dekhne lagi aur Ujjawal ne phir najre jhuka li. Thodi der dono chup rahe.
Next episode mein padhiye do premiyo ka punarmilan kaise aage badhta hain.
pratimakavitri@gmail.com