Site icon Desi Kahani

Bewafayi Ka Bungalow – Episode 6

Aap padh rahe hain teen jodiyo ki kahani Afsa-Ahan, Zaid-Ziah, aur Ubaid-Ulfat jo tour par jaane ka plan karte hain.

Ab tak aapne padha ki Ulfat ke ghar aakar Zaid ne usko thodi pareshani mein daal diya tha. Afsa apni saheli Ulfat ka night gown lekar gayi thi. Phir Ubaid ke rishtedaar Enayat Ehaad bhi tour par aane wale the iska jikra Ulfat ne Ahan se kiya.

Ab aage…

Tour par jaane ke ek din pehle Ulfat ke phone ka reminder baja jo usne kuchh din pehle lagaya tha. Ulfat ko apni chut ke baal saaf karne the. Usne socha nahaate waqt wo kar legi.

Nahaane jaane lagi ki tabhi Ziah ka phone aa gaya.

Ziah: “Ulfat, main aur Afsa agle 15minutes mein tere ghar aa rahe hain, tu taiayr rahna. Wo pregnancy se bachne ke liye injection lena hain na! Doctor se appointment le liya hain. Uske baad hum kal ke liye shopping karne ja rahe hain”

Ulfat: “Pehle nahi bata sakti thi, abhi mujhe time lagega. Mera nahana baaki hain”

Ziah: “Nahaane mein kitna time lagta hain! 5 minute mein naha kar 10 minute mein taiayr ho ja. Humko aur bhi bahut kaam hain”

Ulfat ne phir apni chut ke baal saaf karne ka program shaam ko rakhne ka decide kiya aur jaldi se naha kar taiyar ho gayi. Ziah aur Afsa uska baahar wait kar rahi thi aur wo teeno doctor se pregnancy se bachaav ka injection lagwaane ke baad shopping karne chali gayi.

Teeno ladkiya shopping karne jaaye aur jaldi aa jaaye yeh mumkin nahi tha. Shopping aur khana peena karte unko shaam ho gayi. Saara saaman unhone Ulfat ke ghar hi rakh diye kyu ki agle din Ubaid ki car mein hi unko jana tha.

Shaam ko shopping se thaki haari Ulfat ki himmat nahi huyi ki apni chut ke baal saaf kar paaye isliye usne subah nahaate waqt yeh kaam karne ka decide kiya.

Subah alarm ke saath Ulfat ki neend khuli. Ulfat ne alarm band kiya aur phir so gayi. Phir neend tab khuli jab uska mobile baja. Dekha to Ahan ka phone tha.

Ahan: “Hum log taiyar hokar khade hain, tum log kaha tak pahuche? Ubaid nikalate time phone karne wala tha”

Ulfat: “Kya! main to abhi uthhi hoon”

Ahan: “Tujhe tour par jana nahi hain kya!! Tujhe Ubaid ne time nahi bataya nikalane ka! Maine kal hi usko yaad dilaya tha”

Ulfat: “Ek ghanta de”

Ahan: “Hum log plan ke mutaabik yaha highway ke paas khade hain taiyar hokar. Ek ghanta nahi hain”

Ulfat: “Achchha aadhe ghante mein pahuchate hain”

Ulfat ne phone rakhkar Ubaid ko uthhaya aur puchha.

Ubaid: “Tumney alarm kyu band kiya! Maine jaldi ka alarm lagaya tha”

Ulfat: “Tumney mujhe pehle kyu nahi bataya? Mere itne kaam baaki hain”

Ubaid: “Mujhe laga tumhe time pata hoga. Saamaan to car mein maine kal shaam hi rakhwa diya tha, abhi jaldi taiyar ho jao”

Jaldi jaldi taiyar hokar Ulfat aur Ubaid apni car se nikle aur Ahan-Afsa, Ziah-Zaid ko pickup karne waali jagah pahuche. Unhone apni car ke sheeshe neeche kiye. Ziah aur Afsa sabse pichhli seat par baithhne waley the isliye pehle andar ghusi. Ubaid ne Ahan aur Zaid ko apni taraf se safayi di.

Ahan: “Kya Ubaid, kal yaad dilaya phir bhi late!”

Ubaid: “Jo bhi bolna hain apni dost Ulfat ko bolo, isme isi ki galti hain jo alarm band kar diya”

Ahan ne baahar khade khade hi car ki front passengar ki khuli window mein haath daala aur Ulfat ka gaal khinch liya aur usko jaise late karne ki saja di. Ulfat dard se karaah uthhi aur Ahan ke haath par ek haath maar diya aur phir dard ke saath apne gaal sahlaane lagi.

Ubaid drive kar raha tha aur paas mein uski biwi Ulfat baithhi thi. Ubaid ke peechhe wali seat par Zaid aur Ulfat ke peechhe Ahan baitha tha. Sabse peechhe ki kataar mein Ziah aur Afsa the.

Hanste, gaate, khilkhilaate aur masti karte huye sabhi log car mein safar par ravana huye. Lagbhag 2 ghanta drive kiye ho gaya tha.

Ahan: “Agla break point aayega tab Ulfat tu peechhe aa jana aur hum sabko thodi der front seat par baithhne ka mauka dena”

Ulfat: “Mere gaal kyu khinche the tuney, ab to main apni seat se hilungi bhi nahi”

Ahan: “Achchha baithhi rah dekhte hain”

Ahan ne seat ke left taraf se haath daal kar Ulfat ka haath peechhe khinch liya aur phir dusra haath bhi dusri taraf se khinch kar peechhe le aaya.

Phir Zaid ki madad se Ziah-Afsa ka scarf maanga aur Ulfat ke haath uski seat ke peechhe baandh diye. Ulfat phir se chillane lagi ki uska haath khol de magar uske pati Ubaid sahit sabhi log uski haalat par hans rahe the.

Ahan: “Ab tu baithhi rah Ulfat isi seat par, koi nahi uthhayega”

Ulfat apni body hilaate huye haath kholne ki koshish karti rahi aur par khol nahi paayi. Thodi der baad break ke liye wo ek subway par ruke. Sab log baahar nikalane lage par Ulfat to seat se bandhi huyi tadap rahi thi.

Ulfat: “Ubaid tum to kholo mujhe”

Ubaid: “Jisne baandha hain usi se puchho, main beech mein nahi aaunga tum logo ke”

Ubaid ke saath sabhi smile kar rahe the.

Ulfat: “Main apni seat tumhe dene ko taiyar hoon Ahan, ab to khol de”

Ahan: “Ab tu wahi baithhi rah, nahi chaahiye seat”

Ulfat ko car mein hi chhodkar baaki log thoda aage badhe.

Zaid: “Pareshan ho jaayegi bechaari. Tum log chalo main Ulfat ko khol kar laata hoon”

Sabhi log subway ki taraf badhe aur Zaid waapis car ke paas aaya aur darwaja khola. Ulfat ke pareshani bhare chehre par ab Zaid ko dekhte hi thodi ummeed jagi.

Ulfat: “Thank you, abhi khol mujhe”

Zaid: “Abhi tu bandhi huyi hain, main tujhe kahi bhi chhu sakta hoon aur kiss bhi kar sakta hoon”

Ulfat: “Naatak mat kar aur khol mere haath”

Zaid: “Bol kaha haath lagau?”

Zaid ne apna haath Ulfat ke chehre ki taraf badhaya aur Ulfat ka rona aur khilkhilana saath nikal raha tha. Zaid ne apni ungliya Ulfat ke honthho par rakh di. Ulfat ne sir ghuma kar haath jhatak diya.

Zaid: “Tere honthh to bade soft hain, phir se chhune de”

Ulfat: “Khabardaar jo haath lagaya”

Zaid: “To muh laga lu, laa”

Ulfat ne apne honthho ko ungliyo se chhune se mana kiya to Zaid ne apna chehra aage badhaya aur apne honthh Ulfat ke honthho ki taraf badhaaye. Ulfat aankhien band karte huye bachcho ki tarah rote huye machalane lagi.

Phir achanak apne bachav mein usne apna sir aaghe ki taraf maara magar is chakkar mien uske honthh jaakar Zaid ke honthho se takra gaye aur ek kiss ho gaya.

Ulfat ki aankhein khuli aur saamne Zaid ko jor se hanste huye dekha.

Zaid: “Waah! Kya style hain kiss karne ka!”

Ulfat ka chehra gusse se poora laal tha. Zaid ne phir apni hansi rokne ki koshish ki.

Zaid: “Sorry … sorry .. sorry .. maine to dur hi rakha tha par tu khud apna chehra aage le aayi to main kya karu!”

Ulfat ne apne honthh bhinch liye aur aankhein geeli ho gayi thi. Zaid ne mauke ki najakat samajhate huye car ka peechhe ka darwaja khola aur Ulfat ke haath khol diye. Ulfat apni seat par hi baithhi rah gayi aur apne haatho se apni geeli aankhein ponchhne lagi.

Zaid phir aage ke khule darwaaje par pahucha aur Ulfat ko puchkaarne laga.

Zaid: “Jaanbujhkar nahi kiya tha, galti se chhhu gaya tha yaar. Iske liye naaraj hain to maafi maangta hoon, punishment de de”

Ulfat: “Tum sab mujhe akela chhodkar yaha band kar chale gaye the aur mere haath bhi dukh rahe hain”

Zaid: “Aese thode hi chhodkar chale jaate tujhe. Chal baahar aa jaldi se fresh hokar nikalna hain yaha se”

Zaid aur Ulfat baahar aaye subway ki taraf badhe. Tab tak saamne se Ubaid aur Ahan washroom jaakar aa gaye the.

Ubaid: “Itni der kaha laga di?”

Zaid: “Hum isko chhodkar aaye the to yeh ro rahi thi waha”

Ahan ne aaghe badha aur Ulfat ko gale laga kar sorry bola. Phir Ubaid ne bhi Ulfat ki peethh thapthapa kar aur gale lagakar saantavana di.

Ubaid: “Tum log jaldi washroom jaakar aao, jyada time waste nahi karte”

Zaid fresh ho aaya aur kuchh second mein Ulfat bhi aa gayi. Baaki log jo tab tak car ke karib khade the andar baithna shuru kar diya tha. Zaid aur Ulfat car ki taraf badhe.

Zaid: “Tere honthh waise bahut naram the”

Ulfat: “Maarungi abhi yahi par, chupchaap chal”

Zaid: “Chut ke baal saaf kar liye na, bikini pahanani hogi pool mein”

Ulfat ne koi jawaab nahi diya kyu ki usko waqt hi mila tha baal saaf karne ka aur wo dono bhi car ke paas pahuch gaye.

Ahan ab drive karne wala tha. Uske peechhe Ubaid baithha tha.

Zaid: “Ulfat tujhe aage baithhna hain to baithh ja”

Ulfat bina kuchh bole hi peechhe ki seat pa jaakar apne shauhar Ubaid ke paas baithh gayi. Sab log hasne lage.

Ahan: “Ab Ulfat kabhi front seat par nahi baithhegi”

Zaid jaakar font seat par Ahan ke paas baithh gaya. Agle break mein Ubaid aur Ulfat sabse peeche wali seat par haaath pakde baithh gaye.

Ubaid aur Ulfat peechhhe baithhe romantic ho rahe the. Afsa aur Ziah beech waali row mein baithe baar baar peechhe dekhkar hans rahe the.

Ziah: “Peechhe romantic movie chal rahi hain Ubaid aur Ulfat ki”

Ulfat: “Tum dono apna kaam karo”

Afsa: “Tumhe dekh kar hamara bhi romance nikal raha hain”

Ulfat: “Tumhaare ladke aage baithhe hain waha jaao”

Afsa: “Humein to peechhhe aana hain, aa jaaye?”

Ubaid: “Aa jao, khubsurat ladkiyo ko mana nahi kar sakte”

Ulfat: “Wahi baithhe raho tum dono, main jaha baithhti hoon sabko wahi aana hota hain!”

Dopahar baad wo log apni manjil par pahuche. Waha par khubsurat sa bunglow tha. Itne safar ke baad sab khush the. Waha ka caretaker chaabi dekar chala gaya. Wo waha aas paas hi kahi rahta tha.

Next episode mein padhiye bungalow par kya program hota hain.

pratimakavitri@gmail.com

Exit mobile version