This story is part of the Bewafayi Ka Bungalow series
Aap padh rahe hain teen jodiyo ki kahani Afsa-Ahan, Zaid-Ziah, aur Ubaid-Ulfat jo tour par jaane ka plan karte hain.
Ab tak aapne padha ki Ulfat ne majaak majaak mein Zaid ko challenge diya ki wo uski chut saaf karne ka ashleel majaak uske husband Ubaid ke saamne karke bataaye aur shaam ko Zaid Ulfat ke ghar aa dhamka aur usko thodi pareshani mein daal diya tha.
Ab aage…
Zaid aur Ulfat study room se baahar aaye aur dono ab Ubaid ke paas pahuche aur baithh gaye. Naukar kuchh peene ke liye le aaya aur wo peete huye baat karne lage.
Ubaid: “Wo bungalow book karwa liya tumney?”
Zaid: “Tumney kaam ki baaat ki hain, varna yeh Ulfat to faaltu baatein hi karti hain”
Ulfat: “Maine kya faaltu baat kar di!”
Zaid: “Us par baad mein aayenge. Pehle important chij, bungalow book ho gaya hain. Waha 4 bedroom hain attached washroom ke saath. Achchha view hain aur kitchen bhi hain”
Ulfat: “Aur pool?”
Zaid: “Maine kaha tha na Ubaid ki ki yeh Ulfat faaltu baat karti hain”
Ubaid aur Zaid dono hasne lage aur Ulfat aascharya mien pad gayi.
Ulfat: “Tuney hi to kaha tha pehle ki bungalow mein private pool bhi hain”
Zaid: “Nahaane ke liye closed washroom hain phir khule pool mein kaun nahata hain! Unless ki kisi ko apni bikini body dikhaani ho to baat alag hain”
Ulfat: “Washroom mein sweeming nahi ho sakti, uske liye pool hi chaahiye hota hain”
Ubaid: “Arrey Ulfat chidh kyu rahi hain! Yeh Zaid majaak kar raha hain bas. Zaid, tum sab log meri biwi ko ko aese hi college mein bhi pareshan karte ho?”
Ulfat: “Ab bol Zaid”
Zaid: “Tumhe kya lagta hain Ubaid?”
Ubaid: “Lag to raha hain ki pareshan to karte hoge”
Zaid: “Ekdum sahi socha”
Ubaid aur Zaid dono hans rahe the aur Ulfat ko gussa aa gaya.
Ulfat: “Mujhe aana hi nahi hain tour par, tum sab jao”
Zaid: “Naaraj mat ho. Waise yeh Ulfat sabse sincere aur samajhdaar hain. Beauty with brain hain”
Ubaid: “Wo to hain. Yeh tumse sweeming sikhne bhi aati thi na?”
Zaid: “Haa, yeh teeno saheliya aati thi Ulfat, Afsa aur Ziah. Sabse jaldi Ulfat hi sikhi thi”
Ubaid: “Achchha, good Ulfat”
Zaid: “Waha par is Ulfat ki swimming se jyada iske baal bahut famous the”
Ulfat yeh sunkar samajh gayi ki Zaid kaunse baalo ki baat kar raha tha aur usne Zaid ko gusse mein daat peeste huye dekha.
Zaid: “Yeh baalo ko bahut sambhal kar rakhti hain, unko lambe hone deti hain”
Ubaid: “Mujhe bhi iske lambe baal bahut pasand hain”
Zaid: “To Ulfat, tera apne baal kaatne ka koi program to nahi hain na?”
Ulfat: “Meri ichchha hogi to kaat lungi, tujhe kya karna hain?”
Ubaid: “Wo to achchhe se puchh raha hain bechara”
Ulfat: “Tum jaante nahi yeh kitne badmash hain!”
Zaid: “Main to isliye puchh raha tha ki main baal bahut achche kaatata hoon. Ziah ke baal main hi kaatata hoon”
Ubaid: “Achchha!”
Zaid: “Ulfat ko bhi pata hai yeh baat. yaad hain na Ulfat?”
Ubaid: “Waise Ulfat baal katwaati nahi, par Ulfat tum chaaho to Zaid se thodi trimming karwa sakti ho”
Zaid ne smile karte Ulfat ko dekha aur Ulfat ne gusse mein khaa jaane waali najro se Zaid ko ghura. Tabhi Ubaid ko uske papa ka bulawa aaya aur wo unke room ki taraf chala gaya.
Ubaid ke jaate hi Ulfat apni seat se uthhi aur Zaid ke paas jaakar uski jaangh par ek jor ki chikoti kaat li aur Zaid karaah uthha par apni chikh dabaa li. Phir foonk maarte huye apne dard ka ahsaas karaya aur apni jaangh masalanae laga. Ulfat apni seat par aakar baithh gayi aur smile kar maje lete huye Zaid ki haalat dekhne lagi.
Zaid: “Agar main jor se chillata aur Ubaid aakar puchhta kya hua to?”
Ulfat: “Main to kahi aur chikoti kaatne waali thi par Ziah ka dhyaan rakhte huye sirf jaangh par pinch kiya hain”
Zaid: “Ufff .. kitna jal raha hain pata hain!”
Ulfat: “Aur kar masti mere saath, aesa hi hoga”
Zaid: “Maine kya masti ki? Teri bhalai ki baat hi to kar raha tha. Agar dusre log dekehenge to achchha lagega ki chut ke baal dikh rahe hain”
Ulfat: “Shhhhhhh ..chup kar ja, koi sun lega. Yeh college nahi hain mera sasural hain”
Zaid halke dard aur jalan se karahata raha aur Ulfat smile karte dekhti rahi. Tabhi Ubaid bhi waapis laut aaya aur baithh gaya.
Ubaid: “Kya hua Zaid, tumhara chehra laal kyu hain!”
Zaid: “Ek madhumakkhi ne aakar meri jaangh par dunk maar diya”
Ubaid: “Band ghar mein kaha se aayi wo makkhi!”
Zaid: “Bahut zahrili hain wo, aap bhi dhyaan rakhna. Main chalta hoon”
Ulfat apne muh par haath rakhe smile daba rahi thi aur Zaid books lekar waha se chala gaya. Raat ko Ubaid ne ek baar phir se Ulfat ko chudai ke dauran adhura chhodkar nirash kiya.
2 din baad Afsa dopahar ko Ulfat ke ghar aayi. Ulfat ne gale lag kar Afsa ka welcome kiya.
Afsa: “Idhar paas se gujar rai thi to socha wo night gown leti huyi jaau”
Ulfat: “Chal bedrooom mein, main bata deti hoon saare gowns”
Wo dono Ulfat ke bedroom mein lagi almirah mein gown dekhne lage.
Ulfat: “Yeh Ahan ko achanak se tujhe night gown mein kyu dekhna hain!”
Afsa: “Usne koi to movie dekhi thi jisme ladki sirf night gown pahanti hain aur bahut sexy lagti hain, isliye mujhe bhi waise dekhna chahata hain”
Ulfat: “Sirf night gown matlab, andar kuchh nahi pahnegi?”
Afsa: “Haa, na bra aur na panty, direct gown. Taaki haath lagaane par usko achchhi feeling aaye. Main yeh satin ka gown leti hoon, patla sa hain to usko mujhe chhune mein jyada maja aayega”
Ulfat: “Maine ek baar hi pahna tha isko Ubaid ko rijhaane ke liye, tu rakh le isko lautaane ki jarurat nahi”
Afsa: “To phir Ubaid rijha tha ya nahi?”
Ulfat: “Kuchh jyada hi rijh gaya tha”
Afsa: “Matlab?”
Ulfat: “Main gown pahne neeche leti thi aur wo kapdo sahit mere upar letkar badan se badan ragad raha tha. Phir humein kapde kholne ki hi jarurat nahi padi”
Afsa: “Matlab uska kapdo mein hi ho gaya tha?”
Ulfat: “Haa, uske baad se maine yeh gown kabhi nahi pahana”
Afsa: “Waah! tu hain hi lubhaavani ki us bechaare ka itna sara pyaar umad raha tha ki pant mein hi kar diya. Hota hain kabhi kabhi”
Afsa wo gown lekar chali gayi aur Ulfat sochti rah gayi ki kaash aesa kabhi kabhi hota to achchha tha magar yeh to uske saath roj hi hota hain jab Ubaid ka jaldi ho jata hain aur wo adhuri chhoot jaati hain.
Agle din shaam ko Ubaid aur Ulfat aapas mein baat kar rahe the.
Ubaid: “Wo abbu ne fufi ko bol diya ki hum kahi tour par ja rahe hain to unhone Enayat aur Ehaad ko bhi saath le jaane ka bola hain. Tum apne dosto se baat kar lena is baare mein. Waise bhi booked bungalow mein 4 bedroom hain”
Ulfat yeh sunkar kuchh chinta mein pad gayi.
Ulfat: “Tumhe pata hain Ubaid ki mujhe tumhaari fufi ki beti Enayat kuchh pasand nahi hain”
Ubaid: “Uski vajah se to sabhi ghar waaley pareshan hain. Upar waaley ne usko jitni achchhi surat di hain agar utni achchhi seerat bhi di hoti to achchha rahta”
Ulfat: “Mujhe lagta hain tumhaari fufi ne jaanbujh kar Enayat ko tumhaare peechhe lagaya hain. Enayat ki shaadi tumse na karwa paayi to ab hamari shaadi mein daraar dalwaayegi!”
Ubaid: “Fufi hamaare peechhe padi thi ki main Enayat se shaadi kar lu par mujhe aur mere ammi abbu ko to uski sab aadtein pata hi thi to haa karne ka koi sawaal hi nahi tha. Magar wo bechara Ehaad uski khubsurti mein fans gaya”
Ulfat: “Wo Enayat jaha bhi jaati hain musibat khadi karti hain. Agar usko tour par lekar gaye to wo sab maja barbaad kar degi”
Ubaid: “Ab unko pata chal gaya hain to mana nahi kar sakte. Waise bhi Enayat Ehaad ki shaadi tutne ke kagaar par hain, ho sakta hain hum sabke saath rah kar is tour par wo phir se jud jaaye”
Agli subah Ulfat ne Ahan ko phone karke Enayat aur Ehaad ke baare mein bataya.
Ahan: “Ab yeh kaun aa gaye! Tujhe pata hain na ki hamari lifestyle kaisi open hain. Yeh Enayat aur Ehaad isko digest to kar paayenge?”
Ulfat: “Wo problem nahi hain, wo Enayat to humse bhi 4 guna jyada modern khyaalo ki hain. Iski vajah se uska pati Ehaad bhi pareshaan hain aur talaak ki kagaar par hain wo dono, isliye patchup ke liye aa rahe hain tour par”
Ahan: “Par unki problem hain kya, taaki hum taiyar rahe”
Ulfat: “Pehle Enayat ki shaadi mere shohar Ubaid se hone wali thi. Phir wo Enayat kisi ladke ke saath bhaag gayi thi aur phir waapis aayi. Jaise taise uski Ehaad se shaadi karwaayi. Enayat badtamij ladki hain aur kisi ki sunti nahi hain, Ehaad aur uske ghar waley pareshan hain”
Ahan: “Ulfat tu un dono ki gaurantee le rahi hain kya? Wo dono jhagda karke mahaul to kharaab nahi karenge!”
Ulfat: “Unki gaurantee to wo khud bhi nahi le sakte hain, main kaise lu? Humko milkar unhe sambhalna aur jhelna padega. I hope ki koi problem nahi hogi”
Ahan: “Hum 6 log to Ubaid ki car se jaane waley the, ab in dono naye mehmaan ka kya hoga?”
Ulfat: “Achchhi baat yeh hain ki wo log saturday ko nahi aa sakte hamaare saath to agle din Sunday ko alag se aayenge. Humein ek din unko kam jhelna padega”
Ahan: “Dikhne mein kaisi hain Enayat?”
Ulfat: “Tujhe Afsa kam pad rahi hain kya?”
Ahan: “Waise nahi puchh raha. Jiski aadat itni kharaab hain wo kitni badsurat hogi yeh soch raha tha”
Ulfat: “Dikhne mein bahut khubsurat hain aur apsara ki tarah rahti hain. Magar uski surat par mat jana. Ehaad bechara uski surat dekhkar fans gaya tha aur shadi ke liye haa bol diya. Ab pachhhta raha hain wo”
Ahan: “Chal thheek hain dekha jaayega, aane de unko. Main baaki sabko bhi bata deta hoon Enayat aur Ehaad ke baare mein”
Next episode mein padhiye tour par jaane ki taiyaariya jaari rahegi.